Dhanya vachan | Yeshu mere saath hai | Anil Kant

dhanya hain woh jo man ke deen hain
swarg ke raaj mein jayenge
dhanya hain woh jo shok hain karte
shanti anand payenge
sune dhanya vachan -2
karo inka palan, hoga dhanya jeevan

dhanya hain woh namr jo honge
is prithvi ke adhikari
dharm ke bhuke aur pyason ki
yeshu pyas bujhayenge

dhanya hain woh jo dayavaan hain
unpe ki jayegi daya
jinke shudh hain man woh
parmeshwar ke darshan payenge

wo jo mel milap karayen
prabhu ke putra woh kehlayen
prabhu ke kaaran jayen satayen
swarg ka taaj woh payenge
suno dhanya vachan
[ dhanya- blessed, shok- mourn]

See also  Aankhon ko meri paak kar de | Prem Anand Shanti | Anil Kant