Bone Wala | Aye Mere Baadshah

Jiske kaan ho woh sunle, jiski aankh ho dekh le woh

Bonewala, beej bone chala -4
Kuch daane raahon pe gire, aur kuch parindon ne chug liye
Kuch patharili zameen pe girke, Mitti na mili badh na sake
Aur jo gire jungli jhadon par, Unke tale dab ke rah Gaye
Jiske kaan ho woh sunle
Achi zameen par kuch gire, Badhne lage phalne lage
Kuch sau guna phal le aaye, Saath guna kuch tees guna
Jiske kaan ho woh sunle…
Uske kalaam ko sunte ho, sunte ho to samjho bhi
Dil mein woh boya beej hai jo, usko zara tum seencho bhi
Maante ho to dil mein rakho, aur jo woh kahta hai woh karo
Jiske kaan ho woh sunle…
See also  Yaabez Ki Dua | Aye Mere Baadshah