Daya Kar | Prem Anand Shanti | Anil Kant

Mandir mein aaya hoon,
Haikal mein khada hoon
Toot gaya tha,
paas aaya hoon main
Daya kar, daya kar-2
Pyare Masiha, sacche Masiha
Daya kar, daya kar-2

Hebrews 4:16
Dil mein yeh bharosa leke main Singhaasan ke paas aa gaya
Anugrah milega, madad milegi
Mil jaayega tera aasara
Peeche mud gaya tha,
door ho gaya tha
Bhatak gaya tha,
laut aaya hoon main
Daya kar, daya kar…
Pyare Masiha, sacche Masiha
Daya kar, daya kar-2

See also  Mera Yesu [Punjabi] | Yeshu mere saath hai | Anil Kant