Kuch Bhi Nahin | Khush Khabri | Anil Kant

Kuch bhi nahin hai, pyar ke bina
Mera masih hai, pyar ka khuda
Ye Zameen, yeh Aasmaan
Ye Bandagi, yeh Zindagi -kuch bhi nahin
Kuch bhi nahin hai pyar ke bina

Pyar mohabbat ishq wafa, naam hai tere sabhi khuda
Zindagi mein hume bus pyar kare, tere milne ka intezar kare
Hum tere bin kuch bhi nahin, Kuch bhi nahin hum tere bina
Kuch bhi nahin hai….

Pyar kabhi jalta nahin, apni badai karta nahin
Pyar hai dheeraj, pyar hai maafi
Darta nahin bura manta nahin
Sab baaten yeh seh leta hai, sacchi baat bhi keh deta hai
Khush hota hai acchai se, door rahe burai se
Pyar kabhi jalta nahin, apni badai karta nahin

Pyar hai dheeraj, pyar hai maafi
Darta nahin bura manta nahin
Gyan adhoora, pyar ke bina
Kuch bhi nahin hai…. 

See also  Kamzor dil ki taaqat hai yeshu | Yeshu mere saath hai | Anil Kant