Mujhpe Reham Kar | Ibadat Karo | Anil Kant

Mujhpe reham kar aye khuda
Hai meri jaan ko teri panaah
Mujhpe reham

Main tere paron ke saaye mien loonga panah
Jab tak na tal jaye hare ek aafat khuda
Ghera hai mujhko mere dushmanon ne yahan
Woh meri khatir falak se madad bhejega
Tera jalaal saari zameen par ho

Tu jaanta Hai khuda mere hun mein kahan
Aatish mizaaj aur sheron ke hoon darmiyan
Talwar jaisi zubaan daant hain barchiyan
Tu apni rehmat aur sachaai kar de bayaan
Tera jalaal sari zameen par ho

Dil ab hai tera tere geet main gaaonga
Ab saari duniya ko yeh baat batlaoonga
Taarif teri karta rahoon main sadaa
Rehamat aur sachaai teri buland aye khuda
Tera jalaal saari zameen par ho 

See also  Asman se aayi hai koi saugaat | Tera Shukriya | Anil Kant