Tera Kalaam Hai Chiraag | Aye Sonewale Jaag

Tera kalaam hai chiraag, meri raahon ki roshni
Apne dil mein, maine isko chupa ke rakha hai

Kis tarah se main khud ko paak rakhoon
Kis tarah se khuda ki raah chaloon
Tere kalaam ko padhoon Hai yahi meri zindagi

Teri shariyat kabhi na bhoolunga
Tere kaanoon se na bhatkunga
Apni taalim de mujhe
Hai isi mein meri khushi

Kitni acchii hain akl ki baatein
Woh mujhe shahad se bhi meethi hain
Jhoothi raahon se hai nafrat
Mil gayi raah mujhe sahi

shariyat- law taalim- teaching

Rag Rag Meri | Aye Sonewale Jaag

Rag rag meri Yesu bole
Atma se uthte hain sholeYesu bole,
Yesu bole

Yesu Yesu, kehti hai rooh
Yesu kehti hai jaan
Pyar kiya Yesu se maine
Woh hai mera imaan
Rooh dole jab yesu bole

Duniya ik din mit jaayegi
Aur yeh taqt-o-taaj
Is duniya mein rah jaayega
Yesu tera raaj
Jannat ka woh taala khole Yesu bole………..

taqt-o-taaj- kingdoms of the world

Tera Hoon Yeshu | Aye Sonewale Jaag

Tera hoon, Yeshu main tera hoon-2
Haan har roz haan har waqt
Karti saaf teri kudrat, tera hoon yeshu main tera hoon

Wafadaar yeshu mujhe bana
Haan har roz haan har waqt, wafadar teri qudrat
Wafadaar yeshu mujhe bana

Thaam le haath, khudawand thaam le haath
Haan har roz haan har waqt, rahnuma teri qudrat
Thaam le haath, khudawand thaam le haath

Mere paon bhi le le aye khuda haan…
Haan har roz haan har waqt, chaloon teri raahon par….
Mere paon bhi le le…

Tujhse pyar main karta hoon khuda
Haan har roz haan har waqt, pyar se pur teri qudrat
Tujhse pyar …

Mujhse pyar tu karta hai khuda
Haan har roz haan har waqt, pyar hi pyar teri qudrat
Mujhse pyar …

Haq Se Kaho | Aye Sonewale Jaag

Haq se kaho, shak na karo
Maango aur imaan rakho
Jo maanga hai mil jaayega
Jo chahaa hai, ho jaayega

Yesu ne kaha rai ke daane (Matthew 17 :20)
Jitna ho imaan agar
Kah doge parbat se hat jaa
To parbat bhi hat jaayega

Maangna hai to maango, ( John 14 :13-14)
Lekin maango
Yesu naam se tum
Yeshu ka waada hai tumse
Jo maanga hai mil jaayega

Mere Khudawand | Aye Sonewale Jaag

Mere khudawand, tu meri taaqat, tu meri himmat
Main tujhse mohabat rakhta hoon
Main teri raah pe chalta hoon
tu hai meri chattaan khuda
tu mera hai main tera hoon….

Meri sipaar aur meri najaat aur
Mera ooncha burj hai tu
Tu hai sitayish ke laayaq
Mujhe dushman se hai bachata tu
Haan maut ne mujhko ghera tha
Aur sailabon ne darayaa tha
Tab maine tujhko pukara tha
Aur tujhse khuda fariyad bhi ki
Tune apne haikal se meri Awaz suni, fariyad suni

Uski yaad pe chalta hoon main
Usse door na hota hoon
Badkari se baaz aaon
Haathon ko apne paak rakhoon
Jo nek hain unse nek hai woh
Neecha maghroor ko karta hai
Mujhe uski badaulat jeet mili
Raahen bhi roshan hui meri
Vaade uske jaanche parkhe
Main unpe bharosa rakhta hoon

Tere siwa hai kaun mera ab
Kaun bhala chattaan meri
Quwwat se mujhe bharta hai
Kaamil karta hai raah meri
Tu zinda hai tu mubarak hai
Tu mere sar ko uthata hai
Saari duniya mein tera shukr karoon
tere naam ke geet main gaaonga
tu badi inayat karta hai
teri rehmat sada main paaonga

Sipaar- shield; sitayish- praise; burj- fortress, sailabon – deluge, haikal- temple, badkari- wrong deeds, maghroor – proud, Kaamil- integral

Yeshu Naam Mila | Aye Sonewale Jaag

Yeshu naam mila
Mera jeevan sanwar gaya

Tune lahoo ke katron ko
Mere liye bahaa diya
Tune jaan badan dekar
Yeshu mujhko chuddha liya
Tere lahoo se
Mera jeevan sanwar gaya

Tera naam jo leta hai
Woh zindagi paata hai
Teri raahon pe chal kar
Rooh inaam mein paata hai
Teri rooh se, mera jeevan sanwar gaya

Yeshu mere jeevan ka, bas tu hi sahara hai
Meri jeevan ki kashti ka, bas tu hi kinara hai
Yeshu tu mila, mera jeevan sanwar gaya

Yeshu teri huzuri mein, kudrat aur jalaal hai
Yeshu tere hi haathon mein, mojzaat kamaal hai
Tere chune se, mera jeevan sanwar gaya

huzuri- presence, kudrat- power, mojzaat- wonders

Aye Sonewale Jaag | Aye Sonewale Jaag

Aye Sonewale Jaag, murdon se jee uth
Masih ka noor tujhpe chamkega

Gaur karo kaise jeete ho
Aage badho kyon naadaan bante ho
Waqt ki kimat ko tum jaano Aur uski marzi pehchaano
Khuda ki razaa jaan

Mai peekar matwala na ho
Rooh-e- paak se bharte jaao
Bhajan sunaao, geet sunao
ur roohani ghazalen gaao
Ho uska shukriya…

Yeshu ki raahon pe chalna
Ik duje se pyar hai karna
Pyar hai karna khuda se darna
Ik duje ke taabe rehna
Hua hai sab naya…..

Naadan- ignorant Taab- loyal