Aadar Mahima Jalal Sab Tujh Ko Mere Yeshu

Aadar Mahima Jalal

Sab Tujh Ko Mere Yeshu

Aadar Mahima Jalal

Hum Dete Hai Tujh Ko Aaj;

 

Aaradhna Karte hai, Mahima Gaate Hai,

Teri Stuti Karte Hai, Karte Prashansha Teri;

Aadar Mahima Jalal……..

 

Vachan Mai Tere Waade,

Jo Karta Hai Tu Pure;……….(2)

Vishvas yogya Tu Hai,

Prabhu Tu Yogya Hai;……….(2)

Aadar Mahima Jalal……..

 

Parakram Ke Kaam Tere,

Samarthi Hai Tera Naam;………..(2)

Prabhu Tu Hamari Jyoti,

Hamari Hai Sharan;    …………(2)

Aadar Mahima Jalal……..

 

See also  Kaisa Anokha Tera Pyar Hai