Aao Khuda Ke Ghar Chalen | Aye Mere Baadshah

Main khush hua jab woh mujhe, kehne lage, kehne lage

Aao Khuda ke ghar chalen-4
Aye mere Yerosalam, tere ghar hum aate hain
Us Khuda ke naam ka, shukriya hum laate hain
Tere yahan sara jahan, karne aata hai dua
Taqt us imaan ka tere yahan qaayam hua…aao
Aao Khuda ke ghar chalen-4
Yerosalam qaayam rahe,yeh dua hum karte hain
Unka sada hoga bhala , jo teri raahon pe chalte hain
Teri gali teri dagar, tera shahar qaayam rahe
Yerosalam Khuda ka ghar qaayam rahe-2…
Aao Khuda ke ghar chalen-4
See also  Aye Mere Baadshah | Aye Mere Baadshah