Aatma hamare priyatam 

 

Aatma hamare priyatam,

Apana Le Hamko Leke Chal;

 

Apna le hamko agni bana,

prem se bhar kar sunadar bana,

prem se bhar kar Srungar Kar

 

Binti karne waale prathna veer,

stuti ke yogya yeshu prabhu;

shaitan ke saare chalo ko,

nasht karne aaya tu prabhu

Apna le hamko agni bana…

 

mare hue hamare shariro ko,

jeevit karne waala;

nashmaan saare kaamo ko,

nash karene aa tu prabhu;

Apna le hamko agni bana…

 

jab jab hum sab nirbal ho,

dena sahara prabhu,

warnan se bahar aane bhar ke,

prathna karna prabhu;

Apna le hamko agni bana…

 

nai shrushti ke rachnakar,

man ko rach de naya;

raaja yeshu ke aane ka,

har pal hai intejar;

Apna le hamko agni bana…