Na Aankhon Ne Dekhi | Teri Raahein Behtar Hain | Shreya Kant

Na aankhon ne dekhi,
Na kaanon ne suni,
Na dil mein aayi
Woh sab Khuda ne,
Jo apne mohabat
Karne walon ke vaste,
Taiyaar ki…

Rooh hi rooh mein, zaahir hongi
Rooh ke vasile se, zaahir hongi
Woh sab Khuda ne…

Now we have received your word, Oh God,
That we may know things that are freely given to us from God.

Rab ki samajh ko na, samjha koi
Kya uske dil mein na, jaana koi
Woh sab Khuda ne…

Jaanch Liya | Teri Raahein Behtar Hain | Shreya Kant,

Aye Khudawand, Tune mujhko,
Jaanch liya, parakh liya
Mera uthana, baithanaa,
Mere khayal door se, jaan leta hai
Mere raste aur meri khwabgaah, pata hai Tujhe
Har ravish se meri, waakif hai Khuda

Meri zubaan pe,
Har ek baat ko Tu, jaanta hai
Haath apna tune mere,
Aage aur piche rakha hai Main tere rooh se,
Bachkar ke kahan jaaonga
eri aankhon se bhala, Kaise main, chup jaaonga
Tu aasman ka Khuda hai,
Tu samandar mein basaa hai

Agar kahoon ke andhera
Mujhe chupa lega
Teri nazar mein ujala,
Andhera yaksaan hai
Mere dil ko bananewala
Khuda, hai Tu hi
Pet mein maa ke mujhe
Tune meri soorat di
Ajeeb taur se main bana,
Hairat angez, Tere kaam

Aye Khuda Tere khayal
Mere liye, kitne hain
gar ginoo to ret se
Bhi kahin zyada hain
Jaag uthte hi tujhe
Paas mere pataa hoon
Dekh main tere dushmanon se
Door rehta hoon
Mujhe aazamaa, raah pe chala
Har badi se, mujhko bachaa

Khwabgaah- place of sleep, ravish- overwhelm with emotion,
waaqif- aware yaksaan- similar, Hairat angez- miraculous

Ruh Muqaddas Ruh | Teri Raahein Behtar Hain | Shreya Kant,

Ruh muqqadas -3 ruh
Chamka apna -4 nur
Aaj kar de paak mujhko
Har gunaah se, saaf mujhko
Saamne hoon aaj Tere,
Karde Tu bharpur

Ab koi ilzaam nahin hai,
Aur na koi tohmat hai
Yesu ne azaad kiya hai,
Rab ki kitni rehmat hai
Apni khataa ko manaa hai
Teri nazar ko jana hai
Paas hoon ab,
Pehle tha main door

Nayi zindagi mil jaati hai
Jab Yesu mil jata hai
Bhar jaye jo Teri ruh se
Woh qaamil ho jaata hai
Mere andar aye Khuda,
Paak dil kar de paida

Aur naya tu bhar de
Mujh mein nur T

ohmat- accusation, qaamil- complete

Teri Raahein | Teri Raahein Behtar Hain | Shreya Kant

Sone chandi ke, hazaaron sikkon se
Is duniya ki, oonchi oonchi baaton se
Mujhe Teri raahein behtar hain
Mujhe Teri raah pe, chalna hai
Mujhe Teri baat ko, sunana hai..

Tere haathon ne, mujhko banaya
Akl ataa ki, jeena sikhaya
Mujhe Tere kalaam ko, sunana hai
Mujhe Tujhse aakar, milna hai

Teri rehmat se, milta hai jeevan
Teri baaton se, khush hai mera mann
Mujhe duniya mein nahin, khona hai
Mujhe sharminda nahin, hona hai

Tere liye hi betaab hai dil
Teri hi baatein, karti hain qaamil
Mujhe Teri tassali, achchi hai
Bas raah Teri hi, sachi hai

Main Mandir Hoon Tera | Main Mandir Hoon Tera | Anil Kant



Meri saans main teri saans hai,
Meri rooh mein paak rooh.               x2

Meri aankh main teri aankh hai,
Mere haath main tera haath.

Tu chale, main chaloon.
Tu ruke main rukoon,
Tu kahe jo wahi main karoon.

Tu chue main chuoon,
Jo kahe woh karoon,
Rooh man jism sab saunp doon.

—————————————————————–

MAIN MANDIR HOON TERA..  ( Prabhu Ka Mandir Hoon, Pavitra Mandir Hoon )

Meri marzi ab nahin, teri hogi razaa,  x2

ZINDA GHAR HOON TERA..!!!     X2
yahi ban gaya, mera saara jeevan, aye khuda, aye khuda..


——————————————————————————


Tera jalaal mujh main dikhe,
Surat teri main banoo.
Jab rooh tera, hain mujh main toh,
aazad hoon paak rooh.
aisa bartan banoo jisme tu hain bahra,
 
jhoot mit jaaye kar de kharaa.
main khudawand mein hoon, ho gayaa hoo naya
jo purana tha jaata  rahaa.
                                      Main Mandir…….
 
Aye madadgaar, tujhse hai pyar.
Aye paak rooh,  paak rooh.
Sikahla mujhe, apna kalaam,
Dikhla mujha rah tu.
 
Tune mujhko chuna, mujh main rehne lagaa,
Aisa mujah pe karam hai kiya.
Paapi itna bada, jo gunahgaar tha,
Apna beta mujhe kar diya.

                                                   Main Mandir…….

Saara Jahaan | Aatma Main Prarthna

Sara jahaan, gaye prabhu ki mahima
Sundarta, mein kaun hain prabhu ke samaan
Hamesha ke liye, hamesha, Tu hai raja – 2
Hum milkar karenge, teri aradhana – 2

Main zaahir karoon, Jeevit Yeshu ki mahima
Jo qurbaan hua, mere paapon ke liye
Hamesha ke liye, hamesh
Tu hai rajaa – 2
Hum milkar karenge – 2
Teri aradhana – 2

1 27 28 29 30 31 32