Hey hamare Pita tu jo swarg mein hai | Khudawand tujhe barkat de | Anil Kant

Hey hamare Pita tu jo swarg mein hai
Naam tera pavitra maana jaaye
Tera rajya aaya
Teri icchha hove
Dharti pe jaise aasmaanon pe hai
Hey hamare Pita tu jo
Swarg mein hai

Hamari roz ki roti hamen de
Apne apraadhiyon ko hamne
Shama kar diya
Jaise Tu hamen shama karta hai

Prabhu humko pariksha mein na lana
Balki har ik buraai se bacchana
Har ik burai se bacchana hamein
Hey hamare Pita…
Kyunki raajya, aur parakram
Aur mahima
Sada Tere hi hain, ameen

Rooh ki baarish barsa chahti hai | Khudawand tujhe barkat de | Anil Kant

Rooh ki baarish barsa chahti hai
Rooh ki baarish anilkant

Rooh ki baarish, barsa chahti hai
Khudawand ki shifa aati hai-2
Prem ki barkha barsa chahti hai
Khudawand ki shifa aati hai-2

Shifa ka mumba, Yeshu Masiha
Chune ka usko waqt hai yeh
Apne imaan se uske lahoo se
Paapon se dhulne ka waqt hai yeh

Tere gunaah chahe ho kirmazi
Barf ki maanind dho dega woh
Paani aur rooh se dega janam
Jharnon si zindagi de dega woh

Kode bhi khaye tere liye
Tere liye hi woh suli chada
Kuchla gaya woh tere liye
Teri shifa ko yeh sab sahaa

Us par nazar kar le le shifa
Apne Masiha se le le shifa
Uski salib se le le shifa
Uske Uske lahoo se le le shifa
Rooh ki baarish…

Prabhu Yeshu Masih ke naam se | Khudawand tujhe barkat de | Anil Kant

Prabhu yeshu masih ke naam se (2)
Khul jaayen darwaze
Mil jaayen barkaten

Lahoo se, lahoo se, lahoo se
Tootte hain bandhan lahoo se
Lahoo se, lahoo se, lahoo se
Chutate hain qaidi lahoo se
Prabhu yesu masih ke lahoo se (2)
Ho jaati rihaayi, mil jaati changai

Vachan se, vachan se, vachan se
Milti hai zindagi vachan se
Vachan se, vachan se, vachan se
Milti hai roshni vachan se
Pyare yeshu masih ke vachan se
Sacche yeshu masih ke vachan se
Hamare yeshu masih ke vachan se
Prabhu yeshu masih ke vachan se
Bhookhon ki bhookh mite
Pyaason ki pyas bujhe

Massah se, massah se, massah se
Quwwat milte massah se
Massah se, massah se, massah se
Taaqat milti massah se
Khuda abba pita ke massah se
Khuda bete yeshu ke massah se
Khuda paak ruh ke massah se
Azadi mil jaaye
Chutkara mil jaaye

प्रभु येशु मसीह के नाम से (2)
खुल जाएँ दरवाज़े
मिल जाएँ बरकतें

लहू से, लहू से, लहू से
टूटते हैं बंधन लहू से
लहू से, लहू से, लहू से
छूटते हैं क़ैदी लहू से
प्रभु येसु मसीह के लहू से (2)
हो जाती रिहाई, मिल जाती चंगाई

वचन से, वचन से, वचन से
मिलती है ज़िन्दगी वचन से
वचन से, वचन से, वचन से
मिलती है रौशनी वचन से
प्यारे येशु मसीह के वचन से
सच्चे येशु मसीह के वचन से
हमारे येशु मसीह के वचन से
प्रभु येशु मसीह के वचन से
भूखों की भूख मिठे
प्यासों की प्यास बुझे

मसाह से, मसाह से, मसाह से
क़ुव्वत मिलते मसाह से
मसाह से, मसाह से, मसाह से
ताक़त मिलती मसाह से
खुदा अब्बा पिता के मसाह से
खुदा बेटे येशु के मसाह से
खुदा पाक रूह के मसाह से
आज़ादी मिल जाए
छुटकारा मिल जाए

Prabhu Yeshu Masih ke naam se | Khudawand tujhe barkat de | Anil Kant
Prabhu Yeshu Masih ke naam se | Khudawand tujhe barkat de | Anil Kant

Apne haathon se banaya hai | Khudawand tujhe barkat de | Shreya Kant

Apne haathon se banaya
Apne haathon se banaya

Apne haathon se banaya hai
Mujhe mere Khuda ne
Apni Surat mein banaya hai
Mujhe mere Khuda ne
Kitni rehmat, kitni taakat
Kaisi hai uski mohabat

Jab main nahin tha, tab bhi main tha
Uski nazar mein tha main sadaa
Yuhin achanak nahin aa gaya
Uske irade se main ban gaya

Khud ko na tanha samajhna kabhi
Beasara na samajhna kabhi
Woh jisne di hai tumhe nayi zindagi
Hai naam uska Yeshu Masih

Roshni hai Teri sabse mahaan | Khudawand tujhe barkat de | Anil Kant

Roshni hai Teri sabse mahaan anil kant
Roshni hai Teri anil kant

Roshni hai Teri sabse mahaan
Hum hain zameen aur Tu aasman
Jeevan jyoti ko jalayenge
Tere hi saamne Yeshu mahaan

De rahe hain sadaa
Hum uthake haath
Dil se hai aa rahi ek hi aawaz
Tere karam se hai mili hayaat
Tere hi dum se chal rahi saans

Yeh meri zindagi hai teri Yesu
Main teri panaah
Mein ab sadaa rahoon
Jaan deke tune di hamein najaat
Tere lahoo se hai mili shifa

Masih jalal ki umeed | Khudawand tujhe barkat de | Anil Kant

Uski khatir dukh sehta hoon

Masih jalaal ki umeed
Mujhpar Khudawand ne yeh
Zaahir karna chaha
Gair- kaumon se usne
Baahar mujhe nikala
Mujhe di jalaal ki daulat
Yeh bhed mujhe sikhlaya
Ke Masiha mujh mein rehta hai

Saath Masih ke khush rehta hoon
Dil se jaan se aur akl se
Pyar Khudawand se karta hoon
Khadim banaa hoon main uska
Main uske kaam karoonga
Jo usne sikhayi baatein
Saari duniya se kahoonga

Sabko ye daulat baatenge
Muft mila hai muft mein denge
Quwwat hai woh, Taaqat hai woh
Jo paayen woh kaamil honge

Aao sunayen hum chal ke
Sab duniya ko khushkhabri
Ab jaan le duniya wale
Yeh bhed ki baatein ghehri

Yeshu Sang Hai | Khudawand tujhe barkat de | Anil Kant

Yeshu Sang Hai tum na daro anil kant
Yeshu Sang Hai tum na daro

Yeshu Sang Hai tum na daro
Saamna ab toofan ka karo
Shakti deta hai Parmeshwar
Aur dega ruhani wastar

Lahoo maas se yudh nahin hai
Yudh hai apna shaitaan se
Andhakar ke raajaon se
Aur dushton ki sena se
Dusht ke teer ko nasht karo
Saamna ab toofan ka karo

Dharmikta ka kavach pehen lo
Kamar pe rakho sacchai baandh
Sar pe hai uddhar Prabhu ka
Haathon mein hai dhaal aur talwar
Pairon se chalte jaao
Yesu ki khushkhabri do