Shahon ka Shah Baadshah | Prem Anand Shanti | Anil Kant

PSALM 145
Shahon ka Shah Baadshah
Baadshah Khudawanda, Khudawanda

Roz teri taarif karoonga,
Tera mubarak naam main loonga
Geet main gaaonga,
Hai Tera naam badaa, naam badaa

Azmat teri shaan jalaali
Tere haathon ne duniya sambhali
Sabse bada raja,
Yeshua Khudawanda, Khudawanda

Kahar mein dheema, pyar bhara hai
Mera Yehova sabse bhala hai
Shukr karoon Tera,
Main Tere kaamon ka, kaamon ka

Karte hain jo Tujhse duaayein
Unki seedhi karta hai raahein
Main bhi Yohava ko haal sunawanga

Aankhon ko meri paak kar de | Prem Anand Shanti | Anil Kant

1 John 1:7-9
Aankhon ko meri paak kar de
Sochon ko meri saaf kar de
Yeshu Masih mujhe maaf kar de
Lahoo se, lahoo se-4

Romans 5:9
Barkat aur jalaal, kudrat aur kamaal
Lahoo se hai-2
Meri zindagi aur meri shifa
Lahoo se hai-2
Meri khataayen maaf kar de
Mere Khudawand mujhe paak kar de
Lahoo se-4

Hebrews 10:19
Lahoo zindagi, lahoo roshni
Lahoo ke wasile se bachte hain sabhi
Dil mein hai imaan,
mere sab ilzaam
Dhul gayen hain, mit gaye sabhi
Sab kuch naya Tu aajkar de
Yesu Masih mujhe maaf kar de
Lahoo se-4

Aasmani khushiyon se bhar do mujhe | Prem Anand Shanti | Anil Kant

Aasmani khushiyon se
bhar do mujhe
Swaragiye jagahon pe
le chalo mujhe
Jahan aap rehte ho
rehna hai mujhe
Khudawand-2, pyare Khudawand

Revelation 21:21
Sone ki sadak hogi pairon ke tale
Massa hi massa hai
jahan bhi chalen
Jahan Aap chalte ho chalna hai mujhe, Khudawand..

Revelation 22:1-5
Suraj charaag bin roshni jahan
Pedon ke patton se milti shifa
Zindagi ke dariya se
peena hai mujhe
Khudawand-2.. pyare Khudawand

Musibat ke din meri dua | Prem Anand Shanti | Anil Kant

Musibat ke din meri dua
Sunta hai woh, Khudawand Khuda
Yacub ka Khuda, meri chattaan hai
Isaac ka Khuda, meri chattaan hai
Mujhko mehfooz rakhta hai
Woh mere chupne ki hai jagah, musibat ke din meri dua

(verse 4-5)
Woh tere dil ki aarzoo bar laye
Aur teri sab mashawrat puri kare
Hum teri najaat par shaadiyana bajayenge
Aur apne Khuda ke naam par
jhande khade karenge
Khudawand teri tamaam
darkhwasten puri kare

Duayein meri sunta hai
Woh raste seedhe karta hai
Woh humko mukti deta hai
Woh dil mein khushiyan bharta hai
Haan uska naam hi meri chattaan hai
Uska kalaam hi, meri chattaan hai

(verse 1)
Musibat ke din Khudwand teri sune
Yacub ke Khuda ka naam
Tujhe bulandi par kaayam kare

Rathon pe aur na ghodon pe
Bharosa humko Yehova pe
Woh girte hain phisalte hain
Hum uthke khade hue seedhe
Lashkaron ka Khuda,
meri chattaan hai
Senaaon ka Khuda,
meri chattan hai

Khudawand azeem baadshah | Prem Anand Shanti | Anil Kant

Khudawand azeem baadshah,
Khudawand ke huzoor aao
Aao saari duniya ke logo
Aaj naya geet gao
Khudawand ka naam Mubarak kaho
Uski najaat ki khushkhabri do-2

Duniya mein uske jalaal ka
Logon mein uske har kaam ka
Karo bayaan uske geet gao
Sabse azeem, woh sabse badaa
Jisne aasmaan banaya,
uske huzoor aao

Sajda karein paak dil se yahan
Zinda qurbaani laye yahan
Khush hai aasmaan
zameen geet gaaye
Jungalon ke ped bhi gunguna rahe
Kyunki aaj aa raha hai Woh
Aaj tum zuroor aao
Khudawand azeem baadshah…

Kaisa kaam Masih kar diya | Prem Anand Shanti | Anil Kant

Shukr Yehovah ka-2
Kaisa kaam Masih kar diya
Mujhko gunaah se bari kardiya
Kaise tera shukr karoon main
Mujhko naya aadmi kar diya

Romans 3:24-25
Uske fazal se uske wasile se
Sabke gunah hain maaf kiye jaate
Mujrim ho kaisa, gunahgaar kaisa
Imaan jo laaye,
chutkaara uska abhi kar diya

Romans 10:10
Imaan lana dil se hota hai
Aur munh se ikraar kiya jaye
Imaan jo laayega,
sharminda na hoga
Murdon se ji uthega,
Maut ko usne zindagi kar diya
Kaisa kaam Masih kar diya

Daya Kar | Prem Anand Shanti | Anil Kant

Mandir mein aaya hoon,
Haikal mein khada hoon
Toot gaya tha,
paas aaya hoon main
Daya kar, daya kar-2
Pyare Masiha, sacche Masiha
Daya kar, daya kar-2

Hebrews 4:16
Dil mein yeh bharosa leke main Singhaasan ke paas aa gaya
Anugrah milega, madad milegi
Mil jaayega tera aasara
Peeche mud gaya tha,
door ho gaya tha
Bhatak gaya tha,
laut aaya hoon main
Daya kar, daya kar…
Pyare Masiha, sacche Masiha
Daya kar, daya kar-2

Prem Anand Shanti | Prem Anand Shanti | Anil Kant

Galatians 5:20
Bhar de bhar de mujhe bhar de-2
Paak ruh paak ruh,
mujhe apne massa se bhar de
Paak ruh paak ruh,
mujhe apne phalon se bhar de
Mujhe bhar de bhar de mujhe bhar de

Galatians 5:22-23
Premanand shanti,
dheeraj kripa bhalai
Vishwas namrata, aur saiyam
Paak ruh se bhar jaayen,
aatma ke phal laayein
Bhar de bhar de mujhe bhar de-2
Paak ruh paak ruh,
mujhe apne massa se bhar de
Paak ruh paak ruh,
mujhe apne phalon se bhar de

Galatians 5:16-26
Ruh ke sabab se zinda hue hain,
Ruh ke mutabik chalte rahein
Uske vachan pe amal karein aur
Mann jo chahe voh na karein
Nasihat ruh ki maanein,
Masih ko awwal jaane
Khwahishon ko apni
Krus pe rakhein
Ruh ke kaamon mein nahin
Hoti kabhi burai

Ephesians 5:1, 6
Jaise Masih ne ki hai mohabbat
Aur khud ko qurbaan kiya
Uski tarah hum, bante jaayein
Yeh usne paigaam diya
Kahin dhokha na khana,
Gunahon mein na aana
Kho na jaana duniya ki raahon mein
Andhera tha pehle, nayi roshni aayi
Prem anand shanti,
dheeraj kripa bhalai