Baadalon pe uski awaaz garje | Sab khuda ka | Anil Kant

Baadalon pe uski awaaz garje
paaniyon pe uska jalaal bares
aao paak dilon se sajda
khudawand ko sajda karein

kudrat wali hai awaaz uski -3
aag ke sholon ko hai woh chirati-3
tukde-2 biyabaanon ko uska kalaam kar

Haikal mein sab kehte hain jalaal tera jalaal-2
Aaye jo wahan se khuda ki awaaz
Gir jaaye hamal hirni ke to pedon ke patte jhaden

Taqt- nashin hai hamesha khuda
Toofanon mein bhi hai woh apni jagah
Apne logon ko quwaat se kudrat se bharta rahe

Khamosh Ho Aur Jaan Ho | Sab khuda ka | Anil Kant

Khamosh ho aur jaan lo, jaan lo khuda hai woh
Woh hi hai sabse bada baadshah kehte usko

Woh hi panah hai woh kudrat hai
Har mushkil mein woh hi madad hai
Ab mujhko kuch khuaf nahin hai
Chahe paani shor machayen
Gher le toofan duniya ko
Ik dariya hai jiski shaakhen
Uske maqdis mein jaati hain
Shehar-e- khuda hai woh na talega
Bolega jab paak yehovah kaanp uthenge saare log

Hamd karo | Sab khuda ka | Anil Kant

Hamd karo-2, khudawand ki hamd karo
Khushiyon se jhumte aaj hum aaye hain
Uske huzoor mein geet naye laaye hain
Kitna massah hai aaj kitna jalaal hai
Rooh ka jalaal hai-2
mujh mein jo hua hai woh uska kamaal hai

Nagmein zabaan pe, dil mein najaat hai
Makr ke baadsahah aaj teri maat hai
Haath mein hamare do dhaari talwar hai
Uske makdis mein uski hamd karo
Uski kudrat ke phalak pe hamd karo
Uske kudrat ke kaamon ki hamd karo
Uski badi azamat Ki hamd karo
Dafli bajao, narsinge ched do
Paak Yehovah mujhe karta bahaal

Meethe saazon ke saath uski hamd karo
Buland aawaazon ke saath uski hamd karo
Jhanjhanati hai jhaanjh uski hamd karo
Jo bhi leta hai saans uski hamd karo
Haath uthao, taaliyan bajao
Naacho gaao dil khushaal hai

Shukriya Shukriya | Sab khuda ka | Anil Kant

Shukriya-2 aye khuda tera shukriya
kitna bada hai, shaamo sahar, dil yeh kahe tera,Shukriya

dus taar waale saaz baje aur sitar bhi
tere sabab se aye khuda, khushiyan mili yahin
itne bare hain kaam tere
kitna mujhe diya-2

saadiq phalange phulenge, badhte rahenge woh
tere aanganon mein jo base, taaza rahenge woh
sachaa khuda hai tu mera
Tune dikha diya

takht nashin hai hamesha khuda
toofanon mein bhi tha woh apni jagah
apne logon ko barkat

Yeh Zameen Aur Sab Kuch | Sab khuda ka | Anil Kant

Yeh zameen aur sab kuch isme, hai khuda ka-2
Saari duniya saara aalam, hai Khuda ka-2

Usne buniyad hai rakhi, Paaniyon par is jaahan ki
Usne toofanon pe qayam kar diya hai is zameen ko
Uske parbat pe chare kaun, Uske makdis mein khada kaun
Haath honge Paak Jiske, aur dil saaf ho jiska

Phatako Unche ho jaao, baadshah aane waala hai
Woh hai kaavi who hai qaamir, zorawar aane waala hai
Lashkaron ka jo hai khuda, Aur jalaal ka jo hai baadshah
Haan wahi hai aanewala

Shukr Karo Rab ka | Sab Khuda Ka | Anil Kant

Shukr Karo Rab ka woh jo malik hai sabka
Sab uski taarifen gao-2
Aao uske huzoor mein aao

Naame muqqadas, paak Yehova hai
Usko jo chahta hai, shadmaan hota hai
Deedar uska, jab rooh ko hota hai
Khushiyon se bharta hai, quwaat woh deta hai
hain uske kaam nirale, hai uska pyar anokha

Mojze dikhaye apne, logon ko bachaya
Tod ke zanjeeren usne chudaya
Dhoop ke maaron pe, baadal ko phailaya
Aag di andheron mein, roshni ko chamkaya
Usne chattan ko cheera, phoota paani ka jharna

Wohi Khudawand hai, Khuda woh hamara hai
Haathon se apne usne, sab kuch banaya hai
Apne iraadon ko, woh yaad rakhta hai
Aur apne vaadon ko, poora woh karta hai
Usne jo bhi pharmaya, woh karke hai dikhlaya

Aye khuda meri roshni | Sab khuda ka | Anil kant

Aye khuda meri roshni,
Meri najaat hai tu
Dar nahin mujhko koi,
Ab mere sath hai tu….

Mere dushman, mujhe khaane ko,
Chale aate hai
Khaake thokar, haan woh khuda
Aap gir jaate hain
Chaahe lashkar, aayen kitne,
To bhi yeh, dil na dare
Tera taalib mein banoon,
Aur tere, ghar mein rahoon….

Tere deedar ko, maangoon,
Mujhse roohposh na ho
Apni raahon pe chala, tark na kar,
Mujhko na chod
Ho mukhalif, saari duniya
Mujhe yakin tujhpe
Umeed baandhe rahoon,
Tujhpe hi aas rakhoon….